by raza
6. October 2008 14:07
Niyat-e-shauk bhar naa jaaye kahin
Too bhi dil se utar naa jaaye kahin!
Aaj dekha hai tujhko der ke baad
Aaj ka din guzar naa jaaye kahin!
Naa mila kar udaas logon se
Husn tera bikhar naa jaaye kahin!
Aarzoo hai ke too yahaan aaye
Aur phir umr bhar naa jaaye kahin!
Aao kuchh der ro hi len Naasir
Phir ye dariya utar naa jaaye kahin!
Poet: Naasir Kaazmi
43ca8f30-359b-41d0-a9ab-c07cdec39405|0|.0
Tags:
Poetry