Main umr kay rastay main chup chaap bikhar jaata
ik din bhi agar apni tanhai sey darr jaata
main tark-e-taalluq par zindah hoon so mujrim hoon
kaash us kay leay jeeta apnay leay mar jaata
us raat koi khushboo qurbat main naheen jaagi
main warna sanwar jaata aur woh bhi nikhar jaata
us jaan-e-takallum ko tum mujh sey tou milwaatay
taskheer na kar paata, hairaan tou kar jaata
kal saamnay manzil thi peechhay miri aawazain
chalta tou bichad jaata, rukta tou safar jaata
main shehr ki raunaq main gum ho kay bohat khush tha
ik shaam bacha leta ik rouz tou ghar jaata
mehroom fazaaon main, maayoos nazaaron main
tum azm naheen thehray, main kaisay thehar jaata.
(azm behzad)